Ghazal By Rahat Indori Sahab - Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke
Teri Har Baat Mohabbat Mein Gawara Kar Ke
Dil Ke Baazar Mein Baithe Hain Khasara Kar Ke
Aate Jaate Hein Kayi Rang Mere Chehre Par
Log Lete Hain Maza Zikar Tumhara Kar Ke
Ek Chingari Nazar Ayi Thi Basti Main Usey
Woh Alag Hatt Geya Andhi Ko Ishara Kar Ke
Aasmaanon Ki Taraf fenk Diya Hai Main Ne
Chand Matti Ke Chiraghon Ko Sitara Kar Ke
Main Woh Daryaa Hoon Ke Har Boond Bhanwar Hai Jis Ki
Tum Ne Acha Hi Kiya Mujhse Kinara Kar Ke
Muntazir Hoon Ke Sitaron Ki Zara Ankh Lage
Chaand Ko Chhat Pe Bula Loonga Ishara Kar Ke
تیری ہر بات محبت میں گوارا کر کےدل کے بازار میں بیٹھے ہیں خسارہ کر کےآتے جاتے ہیں کئی رنگ مرے چہرے پرلوگ لیتے ہیں مزا ذکر تمہارا کر کےایک چنگاری نظر آئی تھی بستی میں اسےوہ الگ ہٹ گیا آندھی کو اشارہ کر کےآسمانوں کی طرف پھینک دیا ہے میں نےچند مٹی کے چراغوں کو ستارہ کر کےمیں وہ دریا ہوں کہ ہر بوند بھنور ہے جس کیتم نے اچھا ہی کیا مجھ سے کنارہ کر کےمنتظر ہوں کہ ستاروں کی ذرا آنکھ لگےچاند کو چھت پر بلا لوں گا اشارہ کر کے
0 Comments